Guhnji hai karbala mei
Guhnji hai karbala mei sadaa lout ah hussein
Wadaa jo tha wo puraa huwa lout ah hussein
Tuneh hamareh deen pe bhara ghar lutta diya
Karbobala ko arsh-e-muallah bana diya
Khud muntazir hai tera khudda lout ah Hussein,
Irjeae, irjae, irjae ya hussain
Guhnji hai karbala mei sadaa lout ah hussein
Tanha jawaan ki laash ko khaimo mei la chuka
Asghar ki qabr haathon se apne bana chuka
Bas imtehaan khatm huwa lout ah huusein
Irjeae, irjae, irjae ya hussain
Guhnji hai karbala mei sadaa lout ah hussein
Kehta hai har shaheed shahe mashriqain se
Kausar pe hum na jaaenge pehle hussein se
Hai intezaar humko tera lout ah hussein
Irjeae, irjae, irjae ya hussain
Guhnji hai karbala mei sadaa lout ah hussein
Kuch der mei jalayenge khaimo ko be hayya
Cheenenge sar se zainab o kulsoom ki ridaa
Dekhega tu yeh kaise bhala lout ah hussein
Irjeae, irjae, irjae ya hussain
Guhnji hai karbala mei sadaa lout ah hussein
Hote rahe sitam pe sitam tu nahi ruka
Tune hamara zikr tahe tegh bhi kiya
Ab ham karenge zikr tera lout ah hussein
Irjeae, irjae, irjae ya hussain
Guhnji hai karbala mei sadaa lout ah hussein
Tune mere ali ki wilayat bachayi hai
Nabiyon ki mustafa ki risalat bachayi hai
Har farz kar diya hai ada lout ah hussein
Irjeae, irjae, irjae ya hussain
Guhnji hai karbala mei sadaa lout ah hussein
Betha hai shimr pusht pe khanjar liye huwe
Milne behen se khaime me kis tarha jaaoge
Wo kabse de rahi hai sada lout ah hussein
Irjeae, irjae, irjae ya hussain
Guhnji hai karbala mei sadaa lout ah hussein
Awaaze ghayb mir takallum huwi tamaam
Mehdiye deen ke haath se ay mere tishnaqaam
Ham lenge inteqaam tera lout ah hussein
Irjeae, irjae, irjae ya hussain
Guhnji hai karbala mei sadaa lout ah hussein